Preet-Vipreet.

They say,You can have control over everything in this whole wide world, but u can never control a person's Free Will. What if someone gets the power to control a person's Free will? How would it seem if two people fall in love succumbing to the someone's else pressure?
A simple piece of rhyme for a very complex situation. :)

Dekh dekh, samajh samajh

kya hai ye sab sahaj sahaj

boojhe jo man ki uljhan ko

jaaye goonthi sulajh sulajh


man ke khel khilau main

jo chahe karvau main

chalo kahu to chale duniya

katputli banakar nachau main


bandh kar de apni ye vyarth khoj

bhool ja ye sab sanjog jog

chal nayee duniya main dikhaunga

ab na kar tu koi pratishodh


Dekh ladki, samajh samajh

baat ye hai bilkul sahaj sahaj


dhoondh rahi hai kisko tu

aankhon me kiski aas hai

dekh, pehchaan, yahi hai wo

jiski tujhko talaash hai


parakh le tu is naujawan ko

ye pyaar me majnu kehlata hai

jaan de de apni laila ke liye,

aise daav ye lagata hai


bhaagti hai kin sapno ke peechhe

ye haath thaam le tu ankhiyaan meeche

ye prem ka saagar hai apaar

ye dor hai tujhko kheche kheeche


baat meri samajh samajh

tu soch me yu na ulajh ulajh....


Dekho wahan utha hai dhhuan

Lagta hai dilon ka mel hai

Isne uske dil ko chhua

Yahi to mera khel hai


Pyaar ko jaano pyaar ko samajho

samjho kya hota hai manmeet

pyaar me doobo, yahi hai waqt

tumse hi hai meri haar-jeet


dekh dekh, samajh samajh

kuch bhi nahi hai sahaj sahaj

sambhaal kar rakhte hai log apne dil

aur main kehta hu ulajh ulajh


kathakaar kehlau main

katputliyon ko nachau main

socha jo tha, wahi hua

ab kounsi dor hilau main??

ab kounsi dor hilau main...


dekh dekh samajh samajh

dor gayi hai ulajh ulajh

dekh dekh aur samajh samajh...



--Writing Credits(Copyright(C)) -Yamini and Jincy

About this blog

It's all about being more expressive and speaking your heart out.

We don't do that much, do we?

F.R.I.E.N.D.S